Nov 16, 2006

Nostalgic forward

Sowmya sent me this forward. Really was moved by this. Reminded me of the good ol' college days. This is how it goes...

Raah dekhi thi is din ki kabse,
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se...
bade utavle the yahaan se jaane ko,
zindagi ka agla padaav paane ko...
par naa jane kyon, dil mein aaj kuch aur aata hai,
waqt ko rokne ka jee chahta hai...
jin batoin ko lekar rote the hum,
unhi par hansi aati hai ab...

na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai...
kaha kart tha badi mushkil se chaar saal seh gaya,
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya...
kahi ankahi hazaaron batein reh gayi,
na bhoolne wali kuch yaadein reh gay...
meri taang ab kaun kheencha karega,
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega...
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega,
kaun raat bhar saath jag kar padega...
Kaun meri gaadi mujse pooche bina le jayega,
kaun mere naye naye naam banayega...
mein ab bina matlab kis se ladoonga,
bina topic ke kisse faalto baat karoonga...
kaun fail hone par dilasa dilayega,
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega...

aise dost kahaan milenge...
jo khai mein bhi dhakka de aayein,
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein...
mere gaano se pareshaan kaun hoga,
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga...
kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai,
kaun peeche se bula ke kahega aage dekh bhai...
movies mein kiske saath dekhhonga,
kis ke saath boring lectures jheloonga...
mere certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega,
bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega...
stage par ab kis ke saath jaoonga,
juniors ko faltoo ke lectures kaise sunaonga...
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna,
aur fir anjaan rahoin pe saath main fasna...

na jaane ye fir kab hoga,
keh do doston ye dobaara sab hoga...
doston ke liye professor se kab lad payenge,
kya hum ye fir kar payenge...
raat ko 2 baje poha khane kaun jayega,
tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega...
kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega,
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega...
meri khushi mein sach mein khush kaun hoga,
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga...

meri ye kavita kaun padega,
kaun ise sach mein samjega...
bahut kuch likhna abhi baaki hai,
kuch saath shayad baaki hai...
bas ek baat se dar lagta hai doston,
hum anjnabi na ban jayein doston...
zindagi ke rangon mein dosti kar rang feeka na pad jaye,
kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jayye...
zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna,
agar na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna...

hans lo aaj ji bhar kar,
un paloin main kho jao...
main bhi is hansi ko apne dil mein basa loonga...
aur jab yaad aayegi tumhari,
yahi hansi lekar thoda muskura loonga...

No comments:

Post a Comment